Zara si Raat Dhal Jaye To Shayad Neend aa Jaye
Zara sa Dil Behal Jaye to Shayad Neend aa Jaye
Abi to Qarb Hai Becheniyan hain Beqarari Hai
Tabiyat Kuch Sanbhal Jaye To Shayad neend aa jaye
Abi to Narm Jonkon main chupi hain teri yadien
Hawa ka Rukh Badal Jaye To Shayad Neend aa Jaye
Ye Hansta Muskurata Qafila Chand Taron Ka
Zara aagay Nikal Jaye To Shayad Neend aa jaye
ye Tufan aansuon Ka Jo Umad aaya hai Palkon tek!
Kisi Surat Jo Tal Jaye To Shayad Neend aa jaye
Bookmarks