Asalaam O Alequm
.. member yahan apne aobve persone ko koi bhi ghazal poetry poem Dedicate karni hai
to lets see
SD par konsi Ghazal decicate hoti hai
or kon karta hai


Asalaam O Alequm
.. member yahan apne aobve persone ko koi bhi ghazal poetry poem Dedicate karni hai
to lets see
SD par konsi Ghazal decicate hoti hai
or kon karta hai
bad_chand (22-02-2009), muskurahat (08-01-2009)


Aisi Aankhen Nahin Dekhi
Aisi Aankhen Nahin Dekhi
Aisa Kajal Nahin Dekha
Aisa Jalwa Nahin Dekha
Aisa Chehra Nahin Dekha
Jab Yeh Daaman Ki Hawan De
Aag Jungle Mein Laga De
Jab Yeh Sehrao Mein Jaaye
Ret Mein Phool Khilaye
Aisi Duniya Nahin Dekhi
Aisa Manzar Nahi Dekhi
Aisa Aalam Nahi Dekha
Aisa Dilbar Nahin Dekha
Uske Kangan Ka Khanakna
Jaise Bulbul Ka Chehakna
Uske Pazeb Ki Cham Cham
Jaise Barsaat Ka Mausam
Aisa Sawan Nahi Dekha
Aisi Baarish Nahi Dekhi
Aisi Rimjhim Nahin Dekhi
Aisi Khwahish Nahi Dekhi
Uski Bebaak Se Baatein
Jaise Sardi Ki Ho Raatein
Uff Yeh Tanhai Yeh Masti
Jaise Toofan Mein Kashti
Milti Koyal Si Hai Boli
Jaise Geeton Ki Rangoli
Sukh Gaalon Pe Pasina
Jaise Phagun Ka Mahina
Aisi Ankhen Nahi Dekhi
Aisa Kajal Nahi Dekha
Aisa Jalwa Nahi Dekha
Aisa Chehra Nahi Dekha
![]()
Yeh ajab hai mohabbat k zamana janta hai...
Nah main us ki manta hon na woh meri manta haiKoi us se ja k pochay usay kya milla bichar k ??Ub main bhi khak chanta hon aur woh bhi khak chanta hai


Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Khench le na voh mera parde ka kona daffatan
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai
Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye
Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai


very nice thread Sd.....
This is for you
![]()
Ek Larki Uljhi Suljhi si


Phir Chidi Raat Baat Phoolon Ki
raat hai yaa baaraat phuulo.n kii
phuul ke hai.n phuul ke gajare
shaam phuulo.n kii, raat phuulo.n kii
aapakaa saath-saath phuulo.n kaa
aapakii baat baat phuulo.n kii
phuul khilate rahe.nge duniyaa me.n
roz nikalegii baat phuulo.n kii
nazare.n milatii hai.n jaam milate hai.n
mil rahii hai hayaat phuulo.n kii
ye mahakatii huii Gazal maKaduu.n
jaise saharaa me.n raat phuulo.n kii


For SD?............................................... ..
?
?
Meri sansoN mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
Meri sansoN mein teri khushboo to basee aaj bhi hai
dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhooN
faaslay itney bhi ho jaaiN gai sochha hi na tha
teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhooN
kaisey dorahey per kharee hooN ke aqal sakit hai
der hai pyaroN se judai ka, khud ko tarapta dekhooN
tera ehsase janoon mujh ko bhi pyara hai mager
ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhooN
dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
teri aankhoN mein wohi pyar mein phir se dekhooN
mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
mein teray pyar ka mausam sada hi dekhooN


Ik Diya Hoon
Taiz Hawaon Kai Jhonkon Sai
Bus Bujhe Giya Hoon
Mai Jalraha Tha Barsoon Sai
Nibbat Raha Tha Arsoon Sai
Ab Bujhe Giya Hoon
Haan Ik Diya Hoon
Jalta Tha To Roshni Thi
Andhairoon Mai Ghir Giya Hoon
Mai Bujhe Giya Hoon
Ik Diya Hoon
Mujhe Sai Wabasta Saatoon Nai
Moon Mujhe Sai Moor Liya Hai
Mairay Andhairoon Ko
Mairay Sang Akaila Chor Diya Hai
Bus Abb Aandhion Ka Intizar Hai
Maira Abb Rahna Baikaar Hai
Mai Bujhe Giya Hoon
Haan Ik Diya Hoon


dil dhaRakne ka sabab yaad aayaa
woh teri yaad thi ab yaad aayaa
aaj mushkil tha sambhalna ai dost
tu museebat meiN ajab yaad aayaa
din guzaaraa tha baRi mushkil se
phir teraa waadaa-e-shab yaad aayaa
tera bhoola hua paimaan-e-wafaa
mar raheNge agar ab yaad aayaa
phir kaii log nazar se guzre
phir koii shehr-e-tarab yaad aayaa
haal-e-dil hum bhi sunaate lekin
jab woh rukhsat hua tab yaad aayaa
baiTh kar saayaa-e-gul meiN Nasir
hum bohat roye woh jab yaad aayaa
4 u SD!!!
![]()
Yeh ajab hai mohabbat k zamana janta hai...
Nah main us ki manta hon na woh meri manta haiKoi us se ja k pochay usay kya milla bichar k ??Ub main bhi khak chanta hon aur woh bhi khak chanta hai


Thanks Dear Lovely one i like sad ghazals
For Muhabbat Ka 1 pehar?
tujh se mil ker bhi kuch khafa hein hum
be-maruwut nahin tau kya hein hum
hum ghum-e karwaan mein baithe thay
laug sumjhe shikasta pa hein hum
is turhan se humein raqeeb milay
jaise mudat ke aashna hein hum
raakh hein hum agar yeh aag bujhi
juz ghum-e dost aur kya hein hum
khud ko sunte hein iss turhaaN jaise
waqt ki aakhri sadaa hein hum
kyon zamane ko dein Faraz ilzaam
wo nahin hein tu be wafa hein hum


Na dushmani achi lagi na dosti achi lagi,
Hum ko tou us shakhs ki berukhi achi lagi
Log the is sheher ke saaray hi khush mizaaj,
Dil ko lekin aik teri sanjeedgi achi lagi
Main ne apnay rub say phir maanga usi ko umer bhar,
Jis ki aankho ki mujhe darya dili achi lagi
Bas ana pe naaz tha jis ko na shab bar so saka,
Lamha lamha uski barhtibe basi achi lagi
chain aik pal main hi us ke bechar janay kay baad,
Mujh ko apnay hijr ki aik aik ghari achi lagi
Mere daman main raha kuch bhi nahi magar,
Woh rahay khush yeh soch kar zindagi achi lagi.
for bad_chand
![]()
Yeh ajab hai mohabbat k zamana janta hai...
Nah main us ki manta hon na woh meri manta haiKoi us se ja k pochay usay kya milla bichar k ??Ub main bhi khak chanta hon aur woh bhi khak chanta hai


Duniyaa Jise Kahate Hai.n Jaaduu Ka Khilonaa Hai
Mil Jaaye to Mitti hai kho Jaaye to Sonaa Hai
Achchhaa saa koii Mausam Tanahaa Saa koii aalam
Har vaqt kaa ronaa to bekaar kaa ronaa hai
Barasaat kaa baadal to diivaanaa hai kyaa jaane
Kis raah se bachanaa hai kis chhat ko bhigonaa hai
Gam ho ki Khushii dono.n kuchh der ke saathii hai.n
Phir rastaa hii rastaa hai hansanaa hai na ronaa hai
Log her baat ka afsaana bana laitay hainSab ko halaat ki roo-daad sunaaya na karo...![]()


Us Ke Honton Ka Tabbasum Rahe Qayam Ya Rab
Us Ke Jeevan Main Khushiyon Ka Basera Kar de
Tu Meri Karb Ki Raaton Ko Bhale Khatam Na Kar
Us Ki Har Sham Ke Aakh?r Main Sawera Kar de
Us Ke Dil Ke Kisi Konay Main Jaga De Mujh ko
Us Ki Ankhon Ko Mere Sapnon Se ghera Kar de
Yeh Mere Dil Ki Dua Hai Mere Maula Sun le
Saari Dunya Se Chupa Kar Usay Mera Kar de


ur welcum...
Thahar jaao ke hairaanii to jaaye
tumhaarii shakl pahachaanii to jaaye
shab-e-Gam tuu hii mahamaa.N ban ke aajaa
hamaare ghar kii viraanii to jaaye
zaraa khul kar bhii ro lene do ham ko
ke dil kii aag tak paanii ho jaaye
balaa se to.D Daalo aa_iino.n ko
kisii suurat ye hairaanii to jaaye
Log her baat ka afsaana bana laitay hainSab ko halaat ki roo-daad sunaaya na karo...![]()


rukh se parda hata dey zara saqiya
bus abhi rang_e_mehfil badal jaey ga
hai jo behosh woh hosh main aaey ga
girnay wala hai jo woh sanbhal jaey ga
tum tas'sali na do sirf bethy raho
waqt kuch meray marnay k tal jaey ga
kia yeh kam hai masiha k honay hi se
maut ka bhi erada badal jaey ga
mera daman tu jal hi chuka hai magar
aanch tum par aaey gawara nahi
Meray aansoo na pocho Khuda k leye
warna daman tuhara bhi jal jaey ga
shakh kuch istarha toor aaey Baghban
shakh hilnay na paey na aawaz do
warna gulshan main phir na bahar aaey gi
har kali ka kaleja dehal jaey ga
teer ki jaan hai dil dil ki jaan teer hai
teer se youn na khelo khuda k leye
teer nikla tu dil bhi nikal jaey ga
dil jo nikla tu dam bhi nikal jaey ga
rukh se parda hata dey zara saqiya
bas abhi rang_e_mehfil badal jaey ga
![]()
Yeh ajab hai mohabbat k zamana janta hai...
Nah main us ki manta hon na woh meri manta haiKoi us se ja k pochay usay kya milla bichar k ??Ub main bhi khak chanta hon aur woh bhi khak chanta hai


Khuda kay wastey parda na kaaba ka utha Waaz
Kaheen aysa naa ho yaan bhi wohi kafir sanam nikley
*poori gazal mujay yaad nahi hai
Log her baat ka afsaana bana laitay hainSab ko halaat ki roo-daad sunaaya na karo...![]()


afsana yeh ghazal kuch is tarha hai
khud k wasty parda na kaby se utha zalim
khin a sa na ho yan bhi wahi kafir sanam nikly
hazaro khuwahishain a si k har khuwahish pay dam nikly
bohat nikly meray arman lakin phir bhi kam nikly
sorry mujhay bhi intni hi yaad hai
![]()
Yeh ajab hai mohabbat k zamana janta hai...
Nah main us ki manta hon na woh meri manta haiKoi us se ja k pochay usay kya milla bichar k ??Ub main bhi khak chanta hon aur woh bhi khak chanta hai


Dekhaa Hai Zindagi Ko, Kuchh Itanaa Karib Se
Chahare Tamaam Lagane Lage Hain Ajib Se.
Kahane Ko Dil Ki Baat Jinhen Dhundhate The Ham
Mahafil Mein Aa Gaye Hain Vo Apane nasib Se.
nilam Ho Rahaa Thaa Kisi naazanin Kaa Pyaar
Qimat nahin Chukaai Gai Ik Garib Se.
Teri Vafaa Ki Laash Pe Laa Main Hi Daal Du.n
Resham Kaa Ye Kafan Jo Milaa Hai Raqib Se.
Log her baat ka afsaana bana laitay hainSab ko halaat ki roo-daad sunaaya na karo...![]()
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks