Hope u All r Fine. Baat Yeh Hai Kay Hamaari Is Payaari Mehfil Mein Log Doorsy Poets ki Likhi Hue Khoobsurat Poetries Share kartay hain. Laikin Kuch Log Apni yaani Khud Likhi Hue Poetry Bhi Post Kartay Hain. Khud Likhna Bauhat Achi Baat hai But Khud Poetry Likhnay Say Pehlay Kuch Basic Cheezo'n Ka Ilm Hona Zaruri Hai Taakay Shair Mein Husn Or Adbi Chaashni Paida Ho Sakay. Agar Hum Khud Shair Nahin Bhi Likhtay to bhi Beherhaal Hamain In Baaton Ka Pata Hona Chahiay.
Is Liay Yahan Hum, Shair Ki Saakht, Banaawat Or Uskay Mukhtalif Parts Per Baat Karain Gay...Or Agar Kisi Ko Koi Baat Samjhnay Mein Problem Ho to Come Here And Tell. Hum poet to Nahin Magar Phir Bhi Sab Mil Kar usko solve karnay ki koshish karain gay. I Hope Kay Is Tarha Hum Sab Ko Apnay Faan Ko Mazeed Nikhaarnay Ka Mo'qa Milay Ga. Allah Taala Hamaara Haami-O-Nasir Ho!(Aameen) So Here We Go!
* Chun'kay Aik Banda-e-Pur-Khataa Ki Kaavish Hai Lihaaza Ghalti Ka Imkaan Beherhaal Mojud Hai. Agar Nigah-e-Naaz Say Koi Harf-e-NaHaq Guzray To Nishaandehi Farma Kar Mashkoor Farmaa'ain.
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo, Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.
Hum Galat na thai Kash wo ye samaj sake.... majborio ne na jane kis Mor pe la ke patakh Dia.... Na koi Raasta tha Na hum Laut Sake..... Wazahtai dena apni adat nahi hai Sidrah...... Na main Samja saki Na wo Samaj Sake..........
Tout gaye sab khawab suhane Aag lagi armanoon main Ham ne jis ko apna jana Nikla woh beganoon main Koi bhanwar main koi kanare Koi jete koi hare Kaheen pe roshan piyar ki shama Koi jale parwanoon main Us par koi aanch na aye Ghar lout ta hay to lot jaye Toor k kashti choor k sahil Ghair bathe toufanon main Piyar k gham se anjane the Ham bhi kitne dewane the Dhoundh rahe the piyar k moti
Aap ko bhul jayeen ham Itne to bewafa naheen Aap se kiya gila kareen Aap se kuch gila naheen Ham to samjh rahe the yeh Tum mile piyar mil gaya Ek tere dard k sewaa Ham ko to kuch mila naheen Shisha_e_dil ko torna to Un ka aik kheel hay Ham se hi bhul ho gayi Un ki koy khata naheen Kaash woh apne gham Mujhye de deen to kuch sakon mile Woh kitna badnaseeb hay Gham bhi jise mila naheen Aap se kiya gila kareen
Jab agle saal yehi waqt aaa raha ho ga Yeh koun janta hay koun kis jagah ho ga Tu mere samne batha hay aur main sochta houn K aane wale lamhoon main jena bhi ek saza ho ga Ham apne apne bakheroon main pahns chuke hoon ge Na tuj ko mera na muj ko tera pata ho ga Yehi jagah hay jahan aaj mil k bathe hain Is hi jagah pe KHUDA jane kal kiya ho ga Bicharne wale tujhaye dekh dekh sochta houn
Befawa se dil laga bathe Din ko raat se mila bathe Yeh na socha koun jalta hay prai aag main Apna daman tak jala bathe Kis pathar ko puja tha kis ko dil de bathe Haye Kasi choot kha bathe Sari duniya choor kar Sare jahan ko choor kar Ham tujhe apna bana bathe bewafa Ham bare nadaan the
Main khayal hoon kisi aur ka Mujhe sochta koy aur hay Sar_e_ainah mera aks hay
Pas_e_ainah koy aur hay
Main kisi k dast_e_talb main hoon To kisi k harf_e_dua main hoon
Main naseeb hoon kisi aur ka Mujhe mangeta koy aur hay
Ajab ahtbar be ahtbari k
Darmian hay zindagi Main kareeb hoon kisi aur k
Mujhe janta koy aur hay
Wohi munsibon ki rawaitain
Wohi faslon ki ibartain Mera jurm to koy aur tha
Par meri saza koy aur hay
Teri roshni mere khadokaal se Mukhtalif to naheen magar
Tu kareeb a tujhe dekh loon Tu wohi hay ya koy aur hay
Jo meri riaazt_e_ nemshab ko "Saleem" subha na mil saki
To phir is k mahni to yeh huwe k Yahan KHUDA koy aur hay!!!
Khud apne ko dohundha tha
Main ne tujhe yun chaha tha Tu bilkul waisa nikla jaisa main ne socha tha Apne zakham dekhata kiya Woh bhi to muj jaisa tha Sath mera woh kiya deta Woh khud bhir main tanha tha Muj ko mila ek umar k baad Jo meri umar ka hisa tha!!!
Mere sare raaz kisine chupa k rakh hi liye,
Shukr hai laila aur majnu ka phir se kissa na bana,
Aarzu jo bhi meri talab hai apne Rab se mangunga,
Har dar pe jhuk jaye ja kar aisa ye sar nahi bana.
You are my description of love
You are my description of friend
You are my description of everything
You are my description of beginning to end.
Bookmarks