Assalam o Alaikum!
polling for the
Best Ghazal
starts now..
Rules:
1. last date is 20 feb to 1 march 2010
2.No body can vote him/herself.
3.Vote k Duran Dosti nhn dekhni, Participnt ki Sharing Dekhni hai
Here Are Entries
Ainny
Haqiqat Jan Kar Aisi Hamaqat Kon Karta Hai,
Bhala Be-faiz Se Muhabbat Kon Karta Hai,
Batao jis Tijarat Mein Khasara Hi Khasara Ho,
Bina Sochay Khasaray Ki Tijarat Kon Karta Hai,
Humein Hi Galat Fehmi Thi Kissi K Wastay Warna,
Zamanay K Rewajon Se Baghawat Kon Karta Hai,
Khuda Ne Sabar Karnay Ki Mujhe Toufeeq Bakhsi hai,
Aray Ji Bhar K Tarpo Shikayat Kon Karta Hai?
Kissi K Dil K Zakhmon Par Marham Rakhna Zaruri Hai,
Magar Is Door Mein MOHSIN Yeh Zehmat Kon Karta Hai....!!!!
Nado
koi ajnabi sham dhale gher aya tha
kiya kis ka payam laya tha?
woh dulhan bani bathi rah tak rahi thi
kiya kaha us ke mahbob se mil ker aya tha
ajnabi na jane kuch khe ker chala gaya
us ka kajal chere per pheel aya tha
WOH kahan chala gaya woh kaise bulti
us ka rong rong kapta kamre main aya tha
nargis ke pholon main sajhi is dulhan ko
woh kaise kanton per charah aya tha
kitna bebas kar diya us larki ke khiyalon ko
ak haqiqat tor gai us ke khwabon ko
jis gali se ani thi barat us ki
us gali se janaza aya tha
Bad Chand
HAQEEQAT_E_HUSN By: Ilama Iqbal
Khuda se husn nay ik roz yeh sawal kia,
Jaha'n main kio na mujhy tunay laazawal kia,
Milla jawab k tasveer-e-khaana hay ye dunya,
Shab-e-daraaz hy, adam ka fasana hay ye dunya,
Hoi hay rang-e-taghayur say jub namood iski,
Wohi haseen hay haqeeqat zawaal hay jiski,
Kahin qareeb tha, ye guftugu QAMAR nay suni,
Falak pay aam hoi akhtar-e-sehar nay suni,
Sehar nay taary say sun ker sunai shabnum ko,
Falak ki baat bata di Zamee'n kay mehram ko,
Bhr aay phool kay aansu payam-e-shabnum say,
Kali ka nanha sa dil khoo'n hogaya gham say,
Chaman say rota hoa mosam-e-baahar gaya,
Shabab seir ko aya tha sogwaar gaya.
Mohabbat
mareez e ishq par qayamat ka guzar jana
sirhaney se kisi ka uth k woh pichle pehar jana
kisi ko humnafas samjhon kisi ko charagar jana
magar duniya ko hum ne nahin jana agar jana!!
muqaam e zeest ko hum ne bhala kab moatabar jana?
milla jo lamha e fursat usay bhi mukhtasar jana !!
ILAHII hum gareebon ki hi kuon yeh aazmaesh hai ?
dawa ka be asar rahna dua ka be asar jana !!
tabassum zair e lab tera daleel e subha e jana o dil
tera nazrain chorana nabz e hasti ka thehar jana !!
haqeeqat hai tu bas itni si hai hangam e hasti ki
yahan par bekhabar rahna yahan se bekhabar jana !!
salam aisi mohabbat ko bhala yeh bhi mohabbat hai ?
kisi ki yaad main jeena kisi ki yaad main mar jana !!
rah e ulfat main hum se kia umeed rakhte ho
yeh kia kam hia k upni zaat ko gard e safar jana !!
tu khud ko laakh samjhae ba kamal o ba hunar sarwar
tujhay lakin zamane ne humesha be hunar jana !!
SmilingDoll
____Mein Haqeeqat Houn____
Mein Haqeeqat Houn Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey
Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey
Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey
Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey
Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey
Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey
Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey
Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Dua’ayen De Ke Parwana Mujhey!!!
![]()


LinkBack URL
About LinkBacks


























Bookmarks