kahan main kahan yeh madinay ki galiyaan yeh kismat nahin hai tu phir aur kaya hai Jahan Rooza-e-Pak-e-Khairul Wara Hain woh jannat nahin hai tu phir aur kaya hai
Mohammad ki azmat ko kaya pouchtay ho keh woh sahib-e-Kaaba koosain tehray bashar ki sar-e-arsh mehmaan navazi yeh azamat nahin hai tu phir aur kaya hai
jo aasi ko kamli mein apni chupa le jo dushman ko bhi zakhm khaa k dua de usse aur kaya naam de ga zamana woh rehmat nahin hai tu phir aur kaya hai
qayamat ka ik din muayin hai laikin humaray liyai har nafs hai qayamat madinay se hum jaan nisaarun ki doori qayamat nahin hai tu phir aur kaya hai
tum Iqbal yeh naat keh tu rahay ho magar yeh bhi soucha k kaya kar rahay ho kahan tum kahan madhay mamdohay yazdaan yeh jurat nahin hai tu phir aur kaya hai
Jahan Rooza-e-Pak-e-Khairul Wara Hain woh jannat nahin hai tu phir aur kaya hai kahan main kahan yeh madinay ki galiyaan yeh kismat nahin hai tu phir aur kaya hai
Bookmarks