sorry for late vo kya hia na muje Thursday aur Friday off hota hia isliye nahi aa saka
Jee wasi bhai aapke answers:
1 Tarteeb day apnay nazreyay k mutabik : doulat,shohrat,izat,muhabat.
Jahan main samjhta hoon MUHABAT ager insaan ke dil main ho to vo duniya main doulat, shohrat aur izat apne hasil kar sakta hai.
2 Kiya Ye Sach Hai K Mohabbat Mar Nahi Sakte???
Bilkul mohabbat kabhi mar nahi sakti.Ager insan mar bhi jay to mohabbat yaad bankar uske chahne walon ke khalon main uske dil hamesha rahti hia.
3 Aik Chehray Pay Kayi Chehray Sajaa Letay Hai'n Log" Kabhi Aisi Soorat-e-Haal Paish
Hmm duniya hai jee. Ager duniya main ache log hai to bure bhi hia. To aise log to zaroor milegen. Lekin humko aise logon se kya karna. Hum to bas itna sochte ke kisi dusre ko hamari wajeh se taklef na. ager dusra humko takleef dena chahta hia humko dhoka dekar to ye uski khushi hia. Haan waqtiya taur par humko takleef hoti hia. Lekin hum dua karte hai us insaan ke liye ke ALLAH use kisi dusre ke saath aisa naa karne ki taufeeq den bas.
4 Insaan Kay Sar Mei'n Gharoor Kab Samaata Hai???
Jab vo ALLAH pak ko bhool jata hai. Ager insaan ke dil main ALLAH pak ka darr ho to vo kabhi Gharoor nahi kar sakta.
5 Depression Ho To Kiya Karte Hain ?
To ALLAH pak ko yaad karta hoon aur dua karta hoon ke ALLAH pak meri mushkilon ko door karden. Phir mom se aur meri ----------------- se baat kar liya karta hoon. Phir dil halka ho jata hia.
6 Aap Kanjoos Hai'n Yaa Shaah-Kharch???
Hmm main to yaar shaah-kharch hi hoon aisa mom aur meri-------------- kahti hia. Kyun ke mujhe dekh dekh kar kharch karne ki adat nahi hai. Jo bhi dil karta hia khareedne ko khareed leta hoon. Lekin meri zyada tar shopping meri family ke liye hi hoti hia. Means aap log samajh gay hoge. hahaha
7 Ager Aap Prime Minister Bun Jain ?
I think uska jawaab main uper den chuka hoon.
8 Koun Sa Kaam Ghar Walon Say Chooup Kay Karte Hain ?
Ek kaam hia jo main apni family se chupakar karta hoon aur vo cheez main yahan bhi nahi bata sakta. Kyun ke mera ek family member yahan bhi aata hia.haha
9 Kabhi "Aa Bail Mujhay Maar" Vaalay Mahavray Par Amal Kiyaa ?
Hmm pata nahi yaar.
10 EK Naghma Jo Aap Gungunatay Hai'n Khushi / Ghumi Par ?
Zindagi ka safer hia ye kaisa safar koi samjha nahi koi jana nahi.
11 Aap kaa Qeemti Asaasa???
Sorry yaar mujhe ye sawal samajh nahi aaya.
12 Aladdin ka Chirag hota aur aap Aladdin hote to kya Karte ?
To us charag ko phir se pani main phenk deta. Kyun ke main kisi aur par depend nahi rahna chahta hoon. Jo bhi hasil karonga apne dam par. Aur jitna bhi mujhe milega apni mehnat se usi main khush rahne ki koshish karonga aur meri family ko bhi yahi kahonga.
13 Apne MulQ me Ek Cheez jo aap Shiddat se Badalna chahte ho?
Sari make up ki shops band karwana chahta hooon. hahahaha
14 Kisi aur MulQ ki koi ek Cheez jo aap Bohot pasand karte ho aur Apne MulQ me us ko impliment karna chaho ge?
Saudi arab ka trafic rules.
15 Ghreeb logon ko dkeh kar kia khiayl ata he ?
ALLAH pak ka lakh lakh shukar adaa karta hoon ke ALLAH pak ne mujhe is muqaam par rakha aur ALLAH pak se dua karta hoon ke ALLAH har ghareeb musalman par apni nazre karam rakhe.
16 wo koun see kashish hai jo aap ko MF pay aanay pay majboor karti hai ?
Yahan ke ache ache aur pyare pyare dost aur kya.
woh hi sawal poch rahy hian jo princ se kiy thy kion ke nay zehan main nahi ay
jub tak nay sawal sochian tab tak amir bhai ke bary main yeh sub to janain
thanks wasi aapne mujh se sawaal kiye. Ager aur koi sawal ho to aap bindas pooch sakte hai.
Bookmarks