1) Aap ka Full name kiya hai aur kis ne rakha tha ??
2) Aap ki date of birth with place of birth ?
3) Qualification kitni hai aur future plans kiya hain ?
4) Ghar mei kitnay afraad hain aur aap un mei kis number pe hain ? aur aap ki kis se sab se ziayaada dosti hai ?
5) Abu se ziayaada attach hai ya ammi se ?? agar abu se hain tu kyon hain un ki kuon si baat pasand hai same question if ur answer is mother too ...
6) Agar aap ko name change karnay ka kaha jaaye tu kiya rakho gay?? aur nick change karnay ka kahaa jaaye tu kiya rakho gay aur Mf par aap ka fav nick kuon sa hai??
7) Bachpan mei aap keisay thei means ke sharaarti thei ya sanjeeda aur koye yaad gaar wakiyaa sunaao bachpan ka...
8) Koye esii baat jis ka aaj tak pachtaawa ho?? if hai tu bataana chaahoo tu zaroor bataanaa wo baat .
9) Love marriage karo gay ya arrange marriage ?? aur kis marriage k haq mei ho ..i mean to say k aap k mutabik kuon si marriage kamyaab hoti hai..Shaadi k kab tak iraaday hain
10) Ideal banaaya hai about ur life partner if yes to explain it
11) Koye esaa doost jis ke bagair aap khud ko adhoora samajhtay hoon??
12) Jab udaas ya preshaan hotay ho tu kiya kartay ho aur jab khush hotay ho tu kiya kartay ho ?
13) Koye esi khuwaahish jo poori na hui ho ab tak ?? aur whts ur aim in life ...
14) Larkiyoon ki kuon si esi baat hai jo aap ko achi lagti hai aur kuon si buri .... tell 3 qualities and 3 worst qualities of girls
15) Apni zindagi ka khush gawaar waakiya batau aur na khush gawaar bhii..aur ye bhi bataana k kab paish aaye thei i mean kis age mei ..
16) Agar aap ko desert mei bheij diya jaaye aur kaha jaaye ke siraf aik banday ko le jaa saktay ho saath tu aap kisay le jaana chaahoo gay ??
17) MF ka kis ne bataaya tha aur aap keisa feel kartay ho MF gupshup pe aakar ??
18) MF pe sab se pehla frnd kuon bana tha ?MF ke kis member se milnay ka dil chaahta hai ?
19) MF ke kis member se nahi banti ?? aur kyon ? aur kis kis se achi frndship hai ?
20) Agar aap ko MF se 1 week k liye ban kar diya jaaye tu whts ur feelings ??
21) Agar aap ko koye jin mil jaaye aur aap se kahay ke 3 wishes kar saktay ho tu aap kiya wishes karo gay ?
22) Ager aap ko kisi dosri country jaanay ka mooka milay tu aap jaana pasand karo gay?? aur aap kis kis countries ko deikhna chaahtay ho?
23) Koye fav movie batau with actor and actoress and song... aur kyon pasand aaye ??
24) Agar aap ko aik din ka prime minister bana diya jaaye tu kuon say 3 kaam karna pasand karo gay ?
25) Agar aap ka 100000 inaam lag jaaye tu aap in paiso ka kiya karo gay ?
26) Koye khuwaab jo sach saabit huwa ho ?? bataana chaahain tu zaroor bataayeye ga.
27) Islam se kis had tak lagaao hai?
28.Interview deina keisaa lag raha hai aur ye segment keisaa lagta hai ?
29.Ab tak jitnay question poochay us mei sab se mushkil kuon sa laga ?
30.Koye baat jo aap MF members se kehna chaahtay hoon ? ya any message ?
BeST Of LucK[Only registered and activated users can see links. ]
Note : Members please aese questions na pochien jis se Koi hurt hon !
THANKS
REGARDS
~SmilingDoll~
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo, Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.
1) Aap ka Full name kiya hai aur kis ne rakha tha ?? ~* My real name is Adil Shafiq. abbu ney rakha tha.
2) Aap ki date of birth with place of birth ? ~* 30 march. place Faisalabad
3) Qualification kitni hai aur future plans kiya hain ? ~* I.com .... abhi mein aik software house mein job kar rha hn *as a profesional web developer aj 3rd day hey* aur yhi meri fvrt field hey.
4) Ghar mei kitnay afraad hain aur aap un mei kis number pe hain ? aur aap ki kis se sab se ziayaada dosti hai ? ~* 4 brothers hn + ammi abbu = 6 member. aur mein 2nd number par hn.
5) Abu se ziayaada attach hai ya ammi se ?? agar abu se hain tu kyon hain un ki kuon si baat pasand hai same question if ur answer is mother too ... ~* Ammi sey un ki esi koi baat nhi hey jo mujey psand na ho . meri koi sister nhi hey (i am unlucky ............ ) I LOVE MY MOTHER so much (ALLAH unhen hmesha khush rakhey )
6) Agar aap ko name change karnay ka kaha jaaye tu kiya rakho gay?? aur nick change karnay ka kahaa jaaye tu kiya rakho gay aur Mf par aap ka fav nick kuon sa hai?? ~* nhi mein name change nhi kronga aur nick b yhi rakhon ga (b coz meri aami mujey esi nick sey pukarti hen) Mf pey my fvrt nick hey chandu (my jigar)
7) Bachpan mei aap keisay thei means ke sharaarti thei ya sanjeeda aur koye yaad gaar wakiyaa sunaao bachpan ka... ~* bachpan mei masoom tha . bachpan ki yaden kuch dhndli c hen waqt k sath sath mitti ja rhi hen....
8) Koye esii baat jis ka aaj tak pachtaawa ho?? if hai tu bataana chaahoo tu zaroor bataanaa wo baat . ~* nhi g esi koi baat nhi hey aur ALLAH krey agey b koi na ho...
9) Love marriage karo gay ya arrange marriage ?? aur kis marriage k haq mei ho ..i mean to say k aap k mutabik kuon si marriage kamyaab hoti hai..Shaadi k kab tak iraaday hain ~* Arrange marriage kron ga. aur esi k haq mein hn. aur yhi kamyab hey. 90% love marriage nakam hoti dekhi hen.
10) Ideal banaaya hai about ur life partner if yes to explain it (Pending)
11) Koye esaa doost jis ke bagair aap khud ko adhoora samajhtay hoon?? ~* yahan mein husnain wali baat karna chahun ga k (dost k beghair banda adhora hi hota hay) 100% agree with husnain.
12) Jab udaas ya preshaan hotay ho tu kiya kartay ho aur jab khush hotay ho tu kiya kartay ho ? ~* Udaas ya preshaan honey par karta to kuch nhi hn tab tu kuch karney ko dil hi nhi karta. aur jab khush hota hn to Friends k sath funn time guzarta hn.
13) Koye esi khuwaahish jo poori na hui ho ab tak ?? aur whts ur aim in life ... ~* Khuwaahish to hey jis k poori honey ka intzaar hey (sorry bta nhi paon ga)
14) Larkiyoon ki kuon si esi baat hai jo aap ko achi lagti hai aur kuon si buri .... tell 3 qualities and 3 worst qualities of girls ~* hhmm
* Mujey larkiyon ki masoomiyat bohat achi lagti hey (agar ho to)
*
*
---worst qualities---- X Makeup (sorry girls ) X Jaldi trust kar lena X Jaldi himmat haar jana
Baki kal ko ab sona b hey neend aa rhi hey ...ZZZzzz
15) Apni zindagi ka khush gawaar waakiya batau aur na khush gawaar bhii..aur ye bhi bataana k kab paish aaye thei i mean kis age mei .. ~ *
16) Agar aap ko desert mei bheij diya jaaye aur kaha jaaye ke siraf aik banday ko le jaa saktay ho saath tu aap kisay le jaana chaahoo gay ?? ~ * To mein wahan apney cousin UMAR ko ley jaon ga Q K agar ham dono sath hon to deset ko b beach bna saktey hen .........
17) MF ka kis ne bataaya tha aur aap keisa feel kartay ho MF gupshup pe aakar ?? ~ * mein pehley apney 1 frend k sath link exchang ki job karta tha to usney mujey kuch forums btaye link exchang k liye jin mein MF b tha. to mein yahan aaya mujey forum acha lga phir meiney apni id creat ki aur MF ka hi ho k reh gya ye mera 1st forum hey (2nd abhi tak koi nhi hey)... MF is the great forum. MF nagri 1 family mahol jesi hey greeeaaaaaaaattttttt... 18) MF pe sab se pehla frnd kuon bana tha ?MF ke kis member se milnay ka dil chaahta hai ? ~ * Sab sey frendship bad_chand (chandu, Bc, jigar) sey hoi thi.... >> Chandu & Husnain sey aur INSHAALLAH milen gey b .........
19) MF ke kis member se nahi banti ?? aur kyon ? aur kis kis se achi frndship hai ? ~ * MF pey koi easa member nhi hey jis sey meri nhi banti sabhi achey hen ....
FRIENDS ARE>>>
20) Agar aap ko MF se 1 week k liye ban kar diya jaaye tu whts ur feelings ?? ~ * Booooooooooring.... :(
21) Agar aap ko koye jin mil jaaye aur aap se kahay ke 3 wishes kar saktay ho tu aap kiya wishes karo gay ? ~ *
22) Ager aap ko kisi dosri country jaanay ka mooka milay tu aap jaana pasand karo gay?? aur aap kis kis countries ko deikhna chaahtay ho? ~ * Canada, France, New Zealand and Maxico
23) Koye fav movie batau with actor and actoress and song... aur kyon pasand aaye ?? ~ * i have many fvrt movies like VIVAH, TUM BIN................... 24) Agar aap ko aik din ka prime minister bana diya jaaye tu kuon say 3 kaam karna pasand karo gay ? ~ * >>>
* mulak sey ghurbat khtam
*
25) Agar aap ka 100000 inaam lag jaaye tu aap in paiso ka kiya karo gay ? ~ * Ammi ko hajj karwaon ga....
26) Koye khuwaab jo sach saabit huwa ho ?? bataana chaahain tu zaroor bataayeye ga.
27) Islam se kis had tak lagaao hai? ~ * islam sey lgaon kis ko nhi hota.....
28.Interview deina keisaa lag raha hai aur ye segment keisaa lagta hai ? ~ * bri mushkal sey diya hey ......... acha segment heybut agar ksi aur member ka interview ho rha ho tu not me
29.Ab tak jitnay question poochay us mei sab se mushkil kuon sa laga ? ~ * Question number 0
30.Koye baat jo aap MF members se kehna chaahtay hoon ? ya any message ? ~ * Haste haste ye pal bitaenge, bita hua kal dukhi tha
To kya hua, aane wale kal me khush raho
ek to zindagi hai, malal rekh ke kya kerenge,
ek zindagi, wo bhi chothi, har pal me khush raho…
khattammmmmmmm
interview ki wjah sey mein abhi tak jaag rha hn subha office b jana hey ok g ab
Bookmarks