ASSALAM O ALAIQUM...
HAN JI TO AB BARI HAI................HUMAREY FORUM KI SENOIR MEMBER...................NONE ODER DEN............SMILLING DOLL.................(SD)...................
SSO PLZ WELCUM........ALL OV U

~SmilingDoll~ (13-05-2008)

And here are questions ...
1) Aap ka Full name kiya hai aur kis ne rakha tha ??
2) Aap ki date of birth with place of birth ?
3) Qualification kitni hai aur future plans kiya hain ?
4) Ghar mei kitnay afraad hain aur aap un mei kis number pe hain ? aur aap ki kis se sab se ziayaada dosti hai ?
5) Abu se ziayaada attach hai ya ammi se ?? agar abu se hain tu kyon hain un ki kuon si baat pasand hai same question if ur answer is mother too ...
6) Agar aap ko name change karnay ka kaha jaaye tu kiya rakho gay?? aur nick change karnay ka kahaa jaaye tu kiya rakho gay aur Mf par aap ka fav nick kuon sa hai??
7) Bachpan mei aap keisay thei means ke sharaarti thei ya sanjeeda aur koye yaad gaar wakiyaa sunaao bachpan ka...
8) Koye esii baat jis ka aaj tak pachtaawa ho?? if hai tu bataana chaahoo tu zaroor bataanaa wo baat .
9) Love marriage karo gay ya arrange marriage ?? aur kis marriage k haq mei ho ..i mean to say k aap k mutabik kuon si marriage kamyaab hoti hai..Shaadi k kab tak iraaday hain
10) Ideal banaaya hai about ur life partner if yes to explain it
11) Koye esaa doost jis ke bagair aap khud ko adhoora samajhtay hoon??
12) Jab udaas ya preshaan hotay ho tu kiya kartay ho aur jab khush hotay ho tu kiya kartay ho ?
13) Koye esi khuwaahish jo poori na hui ho ab tak ?? aur whts ur aim in life ...
14) Larkiyoon ki kuon si esi baat hai jo aap ko achi lagti hai aur kuon si buri .... tell 3 qualities and 3 worst qualities of girls
15) Apni zindagi ka khush gawaar waakiya batau aur na khush gawaar bhii..aur ye bhi bataana k kab paish aaye thei i mean kis age mei ..
16) Agar aap ko desert mei bheij diya jaaye aur kaha jaaye ke siraf aik banday ko le jaa saktay ho saath tu aap kisay le jaana chaahoo gay ??
17) MF ka kis ne bataaya tha aur aap keisa feel kartay ho MF gupshup pe aakar ??
18) MF pe sab se pehla frnd kuon bana tha ?MF ke kis member se milnay ka dil chaahta hai ?
19) MF ke kis member se nahi banti ?? aur kyon ? aur kis kis se achi frndship hai ?
20) Agar aap ko MF se 1 week k liye ban kar diya jaaye tu whts ur feelings ??
21) Agar aap ko koye jin mil jaaye aur aap se kahay ke 3 wishes kar saktay ho tu aap kiya wishes karo gay ?
22) Ager aap ko kisi dosri country jaanay ka mooka milay tu aap jaana pasand karo gay?? aur aap kis kis countries ko deikhna chaahtay ho?
23) Koye fav movie batau with actor and actoress and song... aur kyon pasand aaye ??
24) Agar aap ko aik din ka prime minister bana diya jaaye tu kuon say 3 kaam karna pasand karo gay ?
25) Agar aap ka 100000 inaam lag jaaye tu aap in paiso ka kiya karo gay ?
26) Koye khuwaab jo sach saabit huwa ho ?? bataana chaahain tu zaroor bataayeye ga.
27) Islam se kis had tak lagaao hai?
28.Interview deina keisaa lag raha hai aur ye segment keisaa lagta hai ?
29.Ab tak jitnay question poochay us mei sab se mushkil kuon sa laga ?
30.Koye baat jo aap MF members se kehna chaahtay hoon ? ya any message ?
Note : Members please aese questions na pochien jis se KOH hurt hon !
THANKS
BAOJIR"

1) Aap ka Full name kiya hai aur kis ne rakha tha ??
>Saira naam hai, amma ne rakha tha
2) Aap ki date of birth with place of birth ?
>21 december... place mera hospital
3) Qualification kitni hai aur future plans kiya hain ?
>maine BBA kiya hai MBA karna or or ...
4) Ghar mei kitnay afraad hain aur aap un mei kis number pe hain ? aur aap ki kis se sab se ziayaada dosti hai ?
>.., banti meri bary bahi sy hai...
5) Abu se ziayaada attach hai ya ammi se ?? agar abu se hain tu kyon hain un ki kuon si baat pasand hai same question if ur answer is mother too ...
ammi sy...,
Last edited by ~SmilingDoll~; 04-06-2008 at 10:24 AM.
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo,
Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.

ahaaaannnn.....saira......nice Name........aur Mba Hrm.......itz Ma Lakshh
aur App K Baba Ko Allah Pak Jannat Nasseb Karain....aur Qabr Main Sukoon Ata Fermain...aameen

[/B]
6) Agar aap ko name change karnay ka kaha jaaye tu kiya rakho gay?? aur nick change karnay ka kahaa jaaye tu kiya rakho gay aur Mf par aap ka fav nick kuon sa hai??
>nahin, naam change nahin karon gi, nick sary achy hein, MF par SD :d
7) Bachpan mei aap keisay thei means ke sharaarti thei ya sanjeeda aur koye yaad gaar wakiyaa sunaao bachpan ka...
>bachpan mein chup chaap si rehti thi apni hi dunya mein...ziidi thi or rooti bohat thi,yaad koi asi khass nahin, waqat tha guzar gaya
8) Koye esii baat jis ka aaj tak pachtaawa ho?? if hai tu bataana chaahoo tu zaroor bataanaa wo baat .
>nahin asi koi baat nahin hai ALHUMDULIA
9) Love marriage karo gay ya arrange marriage ?? aur kis marriage k haq mei ho ..i mean to say k aap k mutabik kuon si marriage kamyaab hoti hai..Shaadi k kab tak iraaday hain
>Ahum! (",)
jo kismat mein likha hoga... kaamyab na love hoti hai na arrange, soch dono ki mil jay bas wohi kaamyab hoti hai
10) Ideal banaaya hai about ur life partner if yes to explain it
haan jee
pyary sy hoo, mujhy dantny waly, jin ki main bohat ezat karon or wo mari
naik insaan hon, sirf apna nahin sab ka bhi sochty hon, apni family or meri family sab sy bohat pyar sy rahin
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo,
Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.

ahaaaann.....ye Honnnnn Kaun Hain Aur Kab Aein Gey?lolz

11) Koye esaa doost jis ke bagair aap khud ko adhoora samajhtay hoon??
>main dost nahin banati
12) Jab udaas ya preshaan hotay ho tu kiya kartay ho aur jab khush hotay ho tu kiya kartay ho ?
udaas hoti hoon to roti hon, khush hoti hoon tu umm mobile pay songs laga kardance decent wali dance
13) Koye esi khuwaahish jo poori na hui ho ab tak ?? aur whts ur aim in life ...
> haan jee bohat hein.. bas sab Dua karin
14) Larkiyoon ki kuon si esi baat hai jo aap ko achi lagti hai aur kuon si buri .... tell 3 qualities and 3 worst qualities of girls
buri baaten
jo khud ki ezat or apni faimly ki ezat ka khiyal nahin kartin
jo aagay ka nahin abhi ka socti hein
jo ek larky ko chor kar dosry mein lag jati hain, or jin ki mangni hochuki hoti hai ..tab bhi kisi or larky k sath...toba
>achi baatin
jo sweet si hon
sab ki baat mana karin
sab ka bohat khiyal rakhin,khud dukhi bhaly hon par sab ko hansay
15) Apni zindagi ka khush gawaar waakiya batau aur na khush gawaar bhii..aur ye bhi bataana k kab paish aaye thei i mean kis age mei ..
aam! koi nahin ,
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo,
Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.

16) Agar aap ko desert mei bheij diya jaaye aur kaha jaaye ke siraf aik banday ko le jaa saktay ho saath tu aap kisay le jaana chaahoo gay ??
>umm! ager koi sath chala to lay jaun gee..warna akeli hi chali gaun gi
17) MF ka kis ne bataaya tha aur aap keisa feel kartay ho MF gupshup pe aakar ??
Mf ka asy hi aagai kuch poetry dekh rahi thi tu link aagaya...
18) MF pe sab se pehla frnd kuon bana tha ?MF ke kis member se milnay ka dil chaahta hai ?
>MF par sab sy pehly waqar bahi sy ., or milne ko dil kafi chahata hai
19) MF ke kis member se nahi banti ?? aur kyon ? aur kis kis se achi frndship hai ?
nah! jee sab sy banti hai...., ALHUMDULILA
20) Agar aap ko MF se 1 week k liye ban kar diya jaaye tu whts ur feelings ??
>udaas hojaon gee....yahi tu ek fun hai mary liye
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo,
Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.

ab baki kal....![]()
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo,
Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.

okz

hmm Sd Dear Wow App Ka Interview Hmmmm
Inshallah Kal Tak App K Sara Answer Check Karoon Gey Abhi To Kuch Hi Check Kya Hn Per Maza A Geya
Naam Boht Pyaraaaa Hy App Ka Sd Saira.....

21) Agar aap ko koye jin mil jaaye aur aap se kahay ke 3 wishes kar saktay ho tu aap kiya wishes karo gay ?
>three wishes,
1.sab ko khush rakhna
2.mujhy kabhi koi tension na aaye
3.ek helicopter, jis mein main ghoomun gi,or mera jin urray ga
22) Ager aap ko kisi dosri country jaanay ka mooka milay tu aap jaana pasand karo gay?? aur aap kis kis countries ko deikhna chaahtay ho?
>haan jee zaror jana chahun gi, or dubai jaon ge, ya london.
23) Koye fav movie batau with actor and actoress and song... aur kyon pasand aaye ??
>its depand koi khas fav movie nahin , kal ho na ho achi hai, actor actress bhi sahi hein, Song: kal ho na ho (sad)
24) Agar aap ko aik din ka prime minister bana diya jaaye tu kuon say 3 kaam karna pasand karo gay ?
>Prime minister or hum wao! ... teen kaam ,
1.poor people ki help, jin ki ankhon mein na umeedoun k ansoo hoty hein
2.or kisi par nazar rakhon ge
3.sab k online messege lani ki servise laon ge.., fori tor jis ko help ki need ho , kaam waly bandy wahan pohnch jaein
25) Agar aap ka 100000 inaam lag jaaye tu aap in paiso ka kiya karo gay ?
>ammi ko dey dun gi..,........ kuch na kuch laon gi sab k liye ,
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo,
Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.

26) Koye khuwaab jo sach saabit huwa ho ?? bataana chaahain tu zaroor bataayeye ga.
>khuwab mery sach hojaty hein, kafi hein ... kahan tak suno gay kahan tak sunaun.
27) Islam se kis had tak lagaao hai?
>kafi had tak,
28.Interview deina keisaa lag raha hai aur ye segment keisaa lagta hai ?
> acha , kafi acha...
29.Ab tak jitnay question poochay us mei sab se mushkil kuon sa laga ?
aum! sary hi easy thay
30.Koye baat jo aap MF members se kehna chaahtay hoon ? ya any message ?
> kafi pyary or achy member hein yahan k..., bas kabhi jo dukh mily to ya bhi soch lyna chaiiye k khushiyn ussi dukh k baad aaein gie...
Note: kisi ko koi baat buri lagi ho to i really sorry..
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo,
Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.

aaahhh......very Simplee.....boht Achey Sd..........
may All Ur Dreamz Cum True....may Allah Pak Gave All Thing Wich U Desire .............khush Raho.....

acha Ab Ek Baat Btao..........q No 24 Main Kiss Per Nazar Rakho Gi?
aur Ideal Ka Gud Looking Hona Kitna Imortnt Hai Ye Bhi Btao.....

acha No Matter K Wo Gud Looking ......gud Thinker Na Ho?

Thanks Baojir mera Interview lyne ka
Baki koi member kuch pochna chahiye too most welcome...
![]()
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo,
Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.

okz................aur Thns Kaisa......?
well Aur Kis Member Ko Koi Q Kerna Hai Sd Se....?
There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)
Bookmarks