Assalam-O-Alikum-Wa-RahmatULLAH-i-Wa-Barakaatuh !
ALLAH Azzawajal Apney Bandey Se Piaar Boht Karta Hai ...Ab Chahey Wo Kafir Ho Ya Musalmaan ...
Kitna Piaar Karta Hai ?
Hadees : ALLAH apney Bandey Se Maan Se Bhi 70 Guna Ziadah Muhabbat Karta Hai !
Kiun Karta Hai ?
Example : Agar hum khud apney hath se koi kaam karein ya khud apney hath se kuch banaein to khud us sey muhabbat honey lagti Hai ...
Quran : Quran mein ALLAH paak ne " Yad " ka lafz use kia hai ...Yad Arabic language ka word hai iskey meanings " Hath " k hain ...Yani ALLAH paak humein batla raha hai k mein ne insaan ko apney hathun se paidah kia hai ...Isi liay muhabbat karta hun !
.........
Aik Dafa Ka Zikar Hai K Hazrat Muhammad ( Sallallaho Aleh Wasallam ) Aur Sahabah Karaam ( Razi-ALLAH-Anhum ) Tashreef Farma Thay ...
Aik Aurat Apney Gumshudah Bachey Ko Dhoond Rahi Thi ...Achanak Usko Uska Bacha Mil gia ...To Wo Beqaraar Ho K Us Se Lipat Gai ...Ap ( Sallallaho Aleh Wasallam ) Ne Farmaya K Agar Is Aurat Ko Kaha Jaey K Apna Bacha Jala Do To Kia Wo Bardasht kar Le Gi ...
Sahabah ( Razi-ALLAH-Anhum ) Ne Jawab Dia K Nahi Hargiz Nahi ...Wo Tou Khud Tarap Jaey Gi !
Auqa e Do Jahan ( Sallallaho Aleh Wasallam ) Ne Farmaya K Agar Ye Apney Bachey Ko Jalta Nahi Dekh Sakti Tou Wo ALLAH jo K Maan Se Bhi 70 Guna Ziadah Muhabbat Karta Hai Wo Kaisey Apney Bandey Ko Jalta Hua Dekh Sakta Hai !
Subhaan-ALLAH !
...
Continued ...>
wesay hum kitnay guunah gar hain kay uski narazgi ka sabab bantey rehtay hain aor phir jab hum use maafi mangtey hain to Woh Gaffoor ur Raheem hamin maaf bi ker deta hai aor hum insan phir bi baz nahi atey...!!!
Baqi Biyaan ...
ALLAH azzawajal To Itna Raheem Hai K Jahan Humari Aqal Khatam Hoti Hai Wahan Uski Rehmat Shuru Hoti Hai ...
.....Ye Zameen Roz ALLAH se puchti hai k mujhe hukam de mein phat jaun ...Mere uper zina hota hai ..Mere uper Tv pe nangi larkiaan naach rahi hain ...Samunder kehtay hain Ya ALLAH tu hukam de hum charh jaein ...Tabah kardein subko ...Pahar kahtay hein humein hukam de hum inko chaki ki tarah darmiyaan mein pees dein ...Magar Mera Raoof Aur Raheem ALLAH keha hai ..." Uskut " Khamosh Ho Jao ...Mein Apney Bandey ki Taubah Ka Intezaar Kar Raha Hoon ...Subhaan-ALLAH !
...Hadees Mein Rehmat Ka Zikr Yun Hua Hai : Agar Itney Gunah Karo K Samundron ki jaag se b ziada hon ...Zameen aur asmaan k darmiyaan Gunahi hi Gunah Bhardo ...Aur Aik Baar Kehdo Ya ALLAH meri Taubah to tamaam Gunah Ma'af ...Subhaan-ALLAH !
...Jab koi ALLAH se ma'afi mangney ki naiyat se ghar se nikalta hai to ALLAH arshon se neechay uter k uska istiqbaal karta hai ...
..........Tou Bhaiyo Tiaar Ho Na Ma'afi k liye ...Aik baar kehdo Ya ALLAH meri Taubah ...Aik baar kehdo Astaghfirullah ...Aik Baar phir Kehdo ALLAH meri taubah ...
Ab agar aapne sachey dil se ma'afi mangi hai to ALLAH ki qasam ap K Tamam Gunah Maaf Ho Gaey ...Apko Mubarik Ho !
.....Biyaan Completed ......
Bookmarks