Suno! mujhay yaad naa aaya karo jub main apnay dostoun k darmiyaan baitha bol raha hota hoon kisi imtihaan ki tayyari main masroof nazar aaoon ya kisi masroof sarhak par drive kar raha houn mausam acha ho or main akaila ya khaas taur par aisey waqt jub kisi ko khat likh raha houn ya kisi bohat hee piyaarey shakhs ki yaadoun main gum dunya-o-maafeeha say beykhabar ho jaoon Tum mujhay yaad naa aaya karo!!
Tum nay murjhayey huay phool kabhi daikhey hain? dil ki qabroun pay parhey... hijr ki laash ki aankhoun pay dharey Tum nay uktayey huay khuwaab kabhi daikhey hain? dard ki palkoun say liptey huay ghabrayey huay tum nay baychain duayain kabhi dekhi hain? mohabbat k kinaaroun pay bhatakti phirti Tum nay daikha hay mujhay? Kia kabhi daikha hay mujhay??
Aankh jalti hay meri neend main bhi raat ki zulfoun main jaaney kia hay aankh k shaanoun par lehraatey hee hur taraf dhoop jaga deti hain aankh ko neend say dur lagta hay neend ko khuwaab say dur lagta hay khuwaab ko apney bikhar jaaney say dur lagta hay roaz aa aa k koi yaad, koi gham koi weeraani see daal jaati hay meri royi hui aankh main rait neend is zoar say chubhti hay mujhay aankh main chaaley parhey houn jaisey~!!
Abhi kuch pul hamarey haath main hain
koan jaaney
konsa lamha hamarey haath say phisley, girey
or paoon ki zanjeer hojayey
abhi yeh din jo lagta hay k hum ik doosrey k saath
reh saktey hain pal do pal
najaaney kub kahan deewaar bun jayain
abhi do chaar saansain buch rahi hain
yeh to jhaunka hain
kisey maloom kis aahistagi say yoon guzar jayay
k hum daryaoun k do mukhtalif na'aashna goongey kinaaroun par
kharey
ik doosrey ki shakal takney ko taras jayain
meri awaaz teri yaad main zinda hou bus
or main teri tasweer aankhoun main liyey rona chupaoon
shehar waaloun say
abhi kuch pul hamarey haath main hain
hum jo chahain gain to kuch kum kum bhi mil lain gain
magar jaaney kahan.... ?
kub... ?
konsa lamha....?
Bey tahasha hay tujhay yaad kia or bhulaaya bhi bohat hay tujh ko saari raunaq hee teray dum say hay or teray bikhrey huay gham say hay
jis qadar main nay talluq tera mehsoos kia itni gehraayi tou roohoun main hua karti hay jis qadar main nay teri zaat ko khud main paaya
itni yaqtaayi kahan milti hay faasley wuq'atain kho baithey hain dooriyaan pheeki parheen itni shiddat say tujhay socha hay itni shiddat say tujhay chaha hay shiddatain ishq ki mairaaj hua karti hain!!
koi jangle may ja thehray
koi basti may bas jayey
Mohabbat Sath hoti hay!
Mohabbat khusbowon ki lay
Mohabbat mousamoo ka dhun
Mohabbat Absharoon kay nikhertay paniyon ka munn
Mohabbat jangloon may raqs karti morni ka tunn
Mohabbat barf parti sardiyoon may dhop banti hay
Mohabbat chilchilatey gram sehrawon may thandi chawon ki manind
Mohabbat ajnabi duniya may apney gawon ki manind
Mohabbat dil !
Mohabbat jaaan !
Mohabbat Rooh ka Darmaan !
Mohabbat Morti hay .
Aur kabhi jo dil kay mandir may kahin par toot Jayey tou???
Mohabbat Kanch ki Guriya?
Fizaawon may kisi kay hath say Gar chhot jayey tou?????
Mohabbat Aabla hay karb ka
Aur phoot jayey tou .......????
Mohabbat Rog hoti hay !
Mohabbat Sog hoti hay !
Mohabbat Shaam hoti hay !
Mohabbat Raat hoti hay
Mohabbat jhilmilati Aankh may barsaat hoti hay!
Mohabbat Neend ki Rut may Haseen Khaboon kay rustoon par
Sulagtey , Jaan ko Aatey, Ratjagoon ki Ghaat hoti hay
Mohabbat Jeet hoti hay ?
Mohabbat Maat hoti hay ?
Mohabbat Zaaat hoti hay ?
Sochtey rehnay ki aadat hogayi chaunktey rehnay ki aadat hogayi hijr ki raatoun k sung aankhoun ko bhi jaagtey rehnay ki aadat hogayi jaaney kia dur hayk apnay aap say bhaagtey rehnay ki aadat hogayi woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar daikhtey rehnay ki aadat hogayi woh meray andar chupa hay or usay boltey rehnay ki aadat hogayi~!!
Barishon ka mausam hai
Rooh ki fizaa'on main
ghum zada hawayein hain
bai-sabab udaasi hai
iss ajeeb Mausam main
bai-qaraar raaton main
bai-shumaar batein hain
un-ginat fasaanay hain
jo bohat khamoshi sai
DIL peh Sehtay rehtay hain
aur beh amar-e-majboori
sab sai kehtay phirtay hain
Aaj Mausam ACHA hai
AAJ HUM BOHAT KHUSH HAIN !!!
Bookmarks