SHARBATI KAANCH KI TOOTI HU NAAZUK CHOORI……
aik aanchal say bandha hai sab kuchaik tasweer aur tasweer peh bheegay huye hontaik sandal ki unaabi pencilaik beyrabt ka ukhra hua khataik adad cardjis ko chooney say teri yaad chali aati haiaur is card main rakhi hui akloti palakjis say maanoos duaaon ki mahak aati haikisi gumnaam say shaair ka adhura misraaik paazaib say bichra hua ujla mautiaik murjhai hui zard chanbali ki kalijis main ab bhi teri zulfon kay bhanwar liptay hainaik boseeda sa question paperjis kay konay peh likha naam abhi taaza haisharbati kaanch ki tooti hui naazuk chooriaik toota hua halka sa gulabi naakhunaik gadla sa tissue paper bhijis peh mehkay huye ashkon kay nishaan zinda hainyahi daulat hai yahi kuch hai asaasa merayahi daulat hai yahi kuch hai asaasa meraaik aanchal say bundha hai sab kuch!aik bheegay huye aanchal say bundha hai sab kuch!!!


LinkBack URL
About LinkBacks

















Reply With Quote






Bookmarks