This is Aadi - Naam to suna hoga !! Alright.. i start yet another thread... yahan aap sab apni bachpan ki chhoti si favourite kahaniyan share karenge ... which stuck in your mind... hum phir se bachey to nahi ban sakte.. lekin bachpan ki yaadon ko thora aur jeetey hain.. what say? KAHAAANI TIMEEEEEEEEEEEE !!!!!!!!!
Machhali Jal ki Rani hai Jeewan uska paani hai hath lagao darr jayegi bahar nikalo mar jayegi...
Posham pa bhai posham pa sau(10 0) rupay ki ghadi churayi ab to jail mein jana padega jail ki roti khana padega jail ka pani peena padega thayi thuiya thush madari baba fushhhhhh... .
Jhooth bolna paap hai nadi kinare saanp hai kali mai aayegi tumko utha le jayegi...
chand main pariya rahti hian rooz utar k aati hain upne par phelati hain aaj ki raat na soun ga chand ki pariyan dekhon ga dadi ama kahti hain chand main pariyan rahti hain
Chunnu Munno 2 choozey the aik din dono ghar se nikle daana chugne baag may aaye chunno aik daaney pey lapka... munno ne aik keera dekha... mota mota lamba lamba.... munno ne chunno ko bulaya.. dono ne milke zor lagaya... keera bahar kichta aaya kithcta aaya kichta aaya... bahar nikla tou kya dekha... itna mota taaza chooha... chunno munno dar k bhage.... chunno peechay munna agey...
Sab Se Pyar Karo
Pyare Logon Per Apni Har Cheez Nisar Karo
Sab Se Pyar Karo
Yeh Sab Duniya Apna Ghar Hai
Mil Ker Jis Mai Hum Rehte Hain
Karte Nahi Kisi Se Nafrat
Sab Ko Acha Hum Kehte Hain
Is Jazbe Se Aur Bhi Zehnon Ko Sar’shaar Karo
Sab Se Pyar Karo
Gora Ho Ya Kala Koi
Sab Ke Sab Hain Dost Hamare
Hai Farmaan Hamare Nabi Ka
Hain Insaan Barabar Sare
Chor Ke Nafrat Chahat Ki Raahen Humwaar Karo
Sab Se Pyar Karo
The mouse in the movie came out of the hole The cat watching the TV gave a low growl There were no more mice in the house She had seen to that Cartoons are so cruel, the tabby thought Why should they make me dream of the meals I no more have?
Bikney Waly Aur Hein Ja Kar Khareed Lo, Hum Log Qeemat Se Nhn Qismat Se Mila Karty Hein.
Bookmarks